abe oo chapadganju, aise kya ullu ki tarah aankhein faad faad ke padh rahela hai..pahechana nahi kya bidu, ...apun ...munnabhai...aajkal XLRI mein MBA karne ko aayela hai..woh saaala medical college mein us buddhe ghusat asthana se apun ka jaama nahi, to mba karna ko aa gaya. ek din bada aadmi jo ban na hai ...ab tu puchega circuit kaahan hai...? are puch na...tension kay ko leta hai....jo man mein aaaya, puch dalne kaa...woh kya hua, circuit ke short circuit ko sardi ho gayela hai, to apun ne bol diya circuit ko ki tu ekdum bacche ke health ka pura care karne ka...time par dawa-daru sab dene ka. khali pili apun ka tenson nahi lene ka...apun chalta hai na akela hi XL mein..to apun akela hi XL mein MBA karne ko aa gaya. yaahan ka saala sab mastar log bahut hoshiyar hai....bahut saara padhata hai...apun bhi ekdum padhai pe dhyyaan de rahela hai...chana khaata hai, aur padhta hai....baaki sab bhaigiri ekdum bandh. magar phir bhi, kuch subjects mein apun ki ekdum lag raheli hai...
ek din apun ke OB ka professor bola. ki apun ka surprise test honewala hai. apun socha ki saala surprise se test hoga, yaa test mein surprise hoga. baad mein us prof. ne result mein surprise diya. apne life mein pahele se hi itna drama, tragedy, emotion hai ...usmein surprise kyun dalneka...? abhi OB ke prof. ne hi bola tha apun ko ' jo tum sochta hai, wohi sach hai'...bole to angrezi mein ' your perception is reality'. to phir apun itna soch ke sab saach saach jawab diya exam mein, to usne negative marks de diya....magar apun piche nahi hatnewala. bapu ne kaaha tha ki agar tumhe viswas hai ki tum sach ke saath ho, to prof. kya cheez hai, duniya ki koi taakat tumhare saamne tik nahi sakti..'perception is reality'
apun ne ECO ke prof. se puccha...jo kaam apun nahi kiyela hai, uske liye tum apun ko panishment dega kya, mamu ?. woh bola, agar tune nahi kiyela hai, to apun kya yeda ho gayela hai jo tuzko punishment dega. abhi apun ko usne itna bada, woh kya bolte hai ...haan aaaswaaasaan diya, to apun ne bhi bilkul baapu ki maafik sach bak diya. ..apun usko ekdum bindaas hokar bol dala ' ke apun ne homework nahi kiyela hai.." aur prof. ne apun ke grades ki bole to ekdum vaat laga daali....bapu, kaahan ho tum !!! lagta hai, apun ko abhi gandhigiri suru karni padegi..
apun ke MARKETING ke prof. ne kaha ki apun chocolates bechne ka project kare...chocolates ..are yeh saala, lafda ho gaya...agar charas, ganja bechna ho to, apun ka pura network ekdum jamela hai...woh..raju phirki aur fati chaadi ....apun ka j chokra log hai. duniya mein aakhe india ka market leader hai. magar yeh chocolate. apun to kabhi choclate khaya nahi..bas ek bar chinki ne diya tha bachpan mein...!!! to apun sidha bapu ko yaad kiya aur woh fatak dekar tapak gaya. bapu ko chocolate bahut pasand thi, magar bapu ki mummy bapu ko kabhi choclate khane hi nahi deti thi...ekdum nana patekar ki maafik gussa hokar bolti thi...daant sad jayega, to dentist mamu kya tera ristedar lagta hai..achanak apun ka dimaag thanka. apun ne aur bapu ne daant kharab na ho, aisa choclate bana dala..abhi bacche bhi khush, bacche ke maa bhi khush, apun bhi khush, bapu bhi khush, aur woh apne marketing ka prof. bhi fultoo khush..waise 'daant kharab na ho, aur ekdum strong ho jaaye' aisi chocolate kaise banegi aur kaise bikegi, yeh jaanna ho in cadbury aur nestle waloon ko, to apun ke kamre mein 3 peti bhijwa dena..areee ....peti bole to choclate ki peti bidu..tu kya soch rahela tha..
chalo abhi apun ke chana khana ka time ho gaya....baaki subjects aur masterlog ke baare mein phir kabhi...apne bhopu mein abhi gaana baj rahela hai ..' sabka katega..'